wo parinda hai kahan shab ko chahakne wala
vo parinda hai kahāñ shab ko chahakne vaalā
rāt-bhar nāfa-e-gul ban ke mahakne vaalā
lukka-e-abr thā bas dekhne aayā thā mujhe
koī bādal to nahīñ thā vo chhalakne vaalā
raakh meñ aañkh meñ phūloñ pe kasīlī shab meñ
be-zarūrat bhī to chamkā hai chamakne vaalā
kis kī āvāz meñ hai TūTte pattoñ kī sadā
kaun is rut meñ hai be-vaj.h sisakne vaalā
chāñd ho roz badalte ho tumhārā kyā hai
maiñ samundar huuñ abad tak na bahakne vaalā
pī liyā lauT gayā ḳhushk huā kuchh to batā
kyā huā aañkh se aañsū vo Tapakne vaalā
wo parinda hai kahan shab ko chahakne wala
raat-bhar nafa-e-gul ban ke mahakne wala
lukka-e-abr tha bas dekhne aaya tha mujhe
koi baadal to nahin tha wo chhalakne wala
rakh mein aankh mein phulon pe kasili shab mein
be-zarurat bhi to chamka hai chamakne wala
kis ki aawaz mein hai TuTte patton ki sada
kaun is rut mein hai be-wajh sisakne wala
chand ho roz badalte ho tumhaara kya hai
main samundar hun abad tak na bahakne wala
pi liya lauT gaya KHushk hua kuchh to bata
kya hua aankh se aansu wo Tapakne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.