wo pas-e-marg na lashe ko uThane dega
vo pas-e-marg na lāshe ko uThāne degā
merī āġhosh meñ rah rah ke sirhāne degā
terī fitrat to vahī ḳhāna-badoshī Thahrī
zindagī tujh ko bhalā kaun Thikāne degā
ḳhat purāne hī sahī aaj dobāra paḌh leñ
tū kahāñ vaqt hameñ agle zamāne degā
pahlī sī ġhota-zanī bas meñ nahīñ hai us ke
ab muqaddar na use khul ke nahāne degā
maiñ sivā sach ke koī baat na sochūñgā kabhī
ahd ye kab vo bhalā mujh ko nibhāne degā
ye na.ī nasl to sulfe kā dhuāñ hai yaaro
ab ise kaun Thaharne ke Thikāne degā
wo pas-e-marg na lashe ko uThane dega
meri aaghosh mein rah rah ke sirhane dega
teri fitrat to wahi KHana-badoshi Thahri
zindagi tujh ko bhala kaun Thikane dega
KHat purane hi sahi aaj dobara paDh len
tu kahan waqt hamein agle zamane dega
pahli si ghota-zani bas mein nahin hai us ke
ab muqaddar na use khul ke nahane dega
main siwa sach ke koi baat na sochunga kabhi
ahd ye kab wo bhala mujh ko nibhane dega
ye nai nasl to sulfe ka dhuan hai yaro
ab ise kaun Thaharne ke Thikane dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.