wo puchhte hain tu ne to paikan nahin dekha
vo pūchhte haiñ tū ne to paikāñ nahīñ dekhā
gar zaḳhm na kah deñ to kahūñ haañ nahīñ dekhā
allah re siyāhī tirī ai roz-e-judā.ī
vo dekhte haiñ jo shab-e-hijrāñ nahīñ dekhā
laa.ī hai sabā nik.hat-e-gul shaad hai bulbul
ġhāfil ne magar rang-e-gulsitāñ nahīñ dekhā
vahshat-kada-e-dil kā mire haal na pūchho
kyā tum ne koī ḳhāna-e-vīrāñ nahīñ dekhā
mā'shūq vafādār bhī hote haiñ bajā hai
āñkhoñ ne to ai husn pashemāñ nahīñ dekhā
kyoñ hosh nahīñ mujh ko na pūchh aah ye hamdam
tū ne karam-e-pursish-e-pinhāñ nahīñ dekhā
kūche meñ tire 'sidq' ko misl-e-gul-o-shabnam
ḳhandāñ nahīñ dekhā hai ki giryāñ nahīñ dekhā
wo puchhte hain tu ne to paikan nahin dekha
gar zaKHm na kah den to kahun han nahin dekha
allah re siyahi teri ai roz-e-judai
wo dekhte hain jo shab-e-hijran nahin dekha
lai hai saba nikhat-e-gul shad hai bulbul
ghafil ne magar rang-e-gulsitan nahin dekha
wahshat-kada-e-dil ka mere haal na puchho
kya tum ne koi KHana-e-viran nahin dekha
ma'shuq wafadar bhi hote hain baja hai
aankhon ne to ai husn pasheman nahin dekha
kyon hosh nahin mujh ko na puchh aah ye hamdam
tu ne karam-e-pursish-e-pinhan nahin dekha
kuche mein tere 'sidq' ko misl-e-gul-o-shabnam
KHandan nahin dekha hai ki giryan nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.