wo pyas thi ki chalne ka yara bhi nahin tha
vo pyaas thī ki chalne kā yaarā bhī nahīñ thā
dariyā to nazar aatā thā dariyā bhī nahīñ thā
dekhā hī nahīñ us ne mirā daar pe chaḌhnā
dilchasp kuchh aisā vo tamāshā bhī nahīñ thā
kyā baat hai ki qāfila manzil pe na pahuñchā
rahbar kā yā rahzan kā to ḳhatra bhī nahīñ thā
itnā bhī na ho dasht meñ tanhā.ī kā aalam
vaañ raqs-kunāñ koī bagūlā bhī nahīñ thā
raste meñ mujhe rok ke kyoñ ḳhairiyat pūchhī
pahle to kabhī dekh ke bolā bhī nahīñ thā
pindār thā is kā mujhe Thokar jo lagā.ī
rasta thā sahīh aañkh se andhā bhī nahīñ thā
ehsās-e-ḳhudī jaane meñ maane rahā 'shāhid'
us ne to mujhe bazm meñ Tokā bhī nahīñ thā
wo pyas thi ki chalne ka yara bhi nahin tha
dariya to nazar aata tha dariya bhi nahin tha
dekha hi nahin us ne mera dar pe chaDhna
dilchasp kuchh aisa wo tamasha bhi nahin tha
kya baat hai ki qafila manzil pe na pahuncha
rahbar ka ya rahzan ka to KHatra bhi nahin tha
itna bhi na ho dasht mein tanhai ka aalam
wan raqs-kunan koi bagula bhi nahin tha
raste mein mujhe rok ke kyon KHairiyat puchhi
pahle to kabhi dekh ke bola bhi nahin tha
pindar tha is ka mujhe Thokar jo lagai
rasta tha sahih aankh se andha bhi nahin tha
ehsas-e-KHudi jaane mein mane raha 'shahid'
us ne to mujhe bazm mein Toka bhi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.