wo qarib bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai
wo qarib bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai
Kaif Moradaabadi
MORE BYKaif Moradaabadi
vo qarīb bhī haiñ to kyā huā hameñ apne kaam se kaam hai
vahī justujū vahī be-ḳhudī vahī zindagī kā nizām hai
talab irtiqā kī asaas hai ki ġham-e-asīrī kā naam hai
ki jahāñ chaman hai vahīñ qafas jahāñ daana hai vahīñ daam hai
hama-vaqt mujh ko yahī hai ġham ki unheñ hai merā ḳhayāl kam
magar is kī fikr kabhī nahīñ ki mirā junūñ bhī to ḳhaam hai
mujhe mai-kade meñ kisī ne kal ye batāyā maslak-e-āshiqī
jise baada vaj.h-e-surūr ho use baada piinā harām hai
ye hai shān-e-mahfil-e-āshiqī ki tavīl arsa guzar ke bhī
vahī but-kade kī sī sub.h hai vahī mai-kade kī sī shaam hai
ye hai kaisā ālam-e-be-ḳhudī nahīñ hosh un kī razā kā bhī
jo yahī hai 'kaif' junūn-e-ġham to junūn-e-ġham ko salām hai
wo qarib bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai
wahi justuju wahi be-KHudi wahi zindagi ka nizam hai
talab irtiqa ki asas hai ki gham-e-asiri ka nam hai
ki jahan chaman hai wahin qafas jahan dana hai wahin dam hai
hama-waqt mujh ko yahi hai gham ki unhen hai mera KHayal kam
magar is ki fikr kabhi nahin ki mera junun bhi to KHam hai
mujhe mai-kade mein kisi ne kal ye bataya maslak-e-ashiqi
jise baada wajh-e-surur ho use baada pina haram hai
ye hai shan-e-mahfil-e-ashiqi ki tawil arsa guzar ke bhi
wahi but-kade ki si subh hai wahi mai-kade ki si sham hai
ye hai kaisa aalam-e-be-KHudi nahin hosh un ki raza ka bhi
jo yahi hai 'kaif' junun-e-gham to junun-e-gham ko salam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.