wo rang-o-bu hai ki aankhon ko sujhta bhi nahin
vo rañg-o-bū hai ki āñkhoñ ko sūjhtā bhī nahīñ
vo phuul dil meñ makīñ hai ki jo khilā bhī nahīñ
ye terī yaad ki dil se panāh māñgtī hai
ye dil ki jis se nikalne kā rāsta bhī nahīñ
jo mujh ko DhūñD rahā thā mire makān se duur
vo mere dil meñ makīñ ho ke boltā bhī nahīñ
kabhī kabhī to havas sub.h-dam uchhāltī hai
vo ashk jin meñ koī gauhar-e-vafā bhī nahīñ
ham apnī khoj meñ aisī jagah nikal aa.e
vo mil gayā ki jo kahiye ki thā to thā bhī nahīñ
har aañkh barf huī jā rahī hai hasrat se
qarīb-o-dūr koī sho.ala-e-hinā bhī nahīñ
vo jis ke ruḳh pe zabāñ haiñ baḌī baḌī āñkheñ
koī qarīb se guzre to dekhtā bhī nahīñ
mirī hī god meñ hai aur mujhī se pūchhtā hai
vo naam kyā hai ki jo tujh ko bhūltā bhī nahīñ
maiñ terā dard samajh lūñgā kyūñki tujh sā huuñ
na hañs sake to mirī tarah muskurā bhī nahīñ
shab-e-firāq sahī us kī aañkh to lag jaa.e
vo aah kījiye kaise ki jo ravā bhī nahīñ
wo rang-o-bu hai ki aankhon ko sujhta bhi nahin
wo phul dil mein makin hai ki jo khila bhi nahin
ye teri yaad ki dil se panah mangti hai
ye dil ki jis se nikalne ka rasta bhi nahin
jo mujh ko DhunD raha tha mere makan se dur
wo mere dil mein makin ho ke bolta bhi nahin
kabhi kabhi to hawas subh-dam uchhaalti hai
wo ashk jin mein koi gauhar-e-wafa bhi nahin
hum apni khoj mein aisi jagah nikal aae
wo mil gaya ki jo kahiye ki tha to tha bhi nahin
har aankh barf hui ja rahi hai hasrat se
qarib-o-dur koi shoala-e-hina bhi nahin
wo jis ke ruKH pe zaban hain baDi baDi aankhen
koi qarib se guzre to dekhta bhi nahin
meri hi god mein hai aur mujhi se puchhta hai
wo nam kya hai ki jo tujh ko bhulta bhi nahin
main tera dard samajh lunga kyunki tujh sa hun
na hans sake to meri tarah muskura bhi nahin
shab-e-firaq sahi us ki aankh to lag jae
wo aah kijiye kaise ki jo rawa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.