wo rang-o-rup nigah-o-jamal hai hi nahin
vo rang-o-rūp nigāh-o-jamāl hai hī nahīñ
tumhāre husn kī koī misāl hai hī nahīñ
bayān husn-e-mukammal ko koī kaise kare
kisī zabān meñ itnī majāl hai hī nahīñ
har ek shai ko fanā hai ye ham ne jaan liyā
bas ek 'ishq hai jis ko zavāl hai hī nahīñ
azaan izn-e-'ibādat hai haañ magar afsos
haram hai sāmne lekin bilāl hai hī nahīñ
amīr-e-shahr ko fikr-e-najāt hai lekin
faqīr-e-'ishq ko koī malāl hai hī nahīñ
ḳhayāl-e-hazrat-e-be-dil ko chhū ke aa jaa.e
kisī kī soch meñ aisā kamāl hai hī nahīñ
javāb dene ko hāzir huuñ maiñ magar sāhib
kisī ke lab pe koī bhī savāl hai hī nahīñ
wo rang-o-rup nigah-o-jamal hai hi nahin
tumhaare husn ki koi misal hai hi nahin
bayan husn-e-mukammal ko koi kaise kare
kisi zaban mein itni majal hai hi nahin
har ek shai ko fana hai ye hum ne jaan liya
bas ek 'ishq hai jis ko zawal hai hi nahin
azan izn-e-'ibaadat hai han magar afsos
haram hai samne lekin bilal hai hi nahin
amir-e-shahr ko fikr-e-najat hai lekin
faqir-e-'ishq ko koi malal hai hi nahin
KHayal-e-hazrat-e-be-dil ko chhu ke aa jae
kisi ki soch mein aisa kamal hai hi nahin
jawab dene ko hazir hun main magar sahib
kisi ke lab pe koi bhi sawal hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.