wo rang uDe hain kuchh ab ke baras bahaaron ke
vo rañg uḌe haiñ kuchh ab ke baras bahāroñ ke
ki dil meñ naqsh ubharte haiñ barf-zāroñ ke
ye dasht-e-dil ye ba-har-sū ġhubār-e-tanhā.ī
kahāñ ga.e vo chaman ajnabī ishāroñ ke
ulajh ga.e haiñ kisī mauj-e-iztirāb meñ phir
vo ḳhvāb rañg meñ Duube hue kināroñ ke
chalo ki us se koī saaf saaf baat kareñ
ki ab to khul hī ga.e bhed isti.āroñ ke
na jaane āḳhir-e-shab kis ke dil pe choT paḌī
ki Duub Duub ga.e jaise dil sitāroñ ke
firāqe-e-gul meñ kaTī zindagī ḳhizāoñ kī
surāġh-e-gul meñ luTe qāfile bahāroñ ke
wo rang uDe hain kuchh ab ke baras bahaaron ke
ki dil mein naqsh ubharte hain barf-zaron ke
ye dasht-e-dil ye ba-har-su ghubar-e-tanhai
kahan gae wo chaman ajnabi ishaaron ke
ulajh gae hain kisi mauj-e-iztirab mein phir
wo KHwab rang mein Dube hue kinaron ke
chalo ki us se koi saf saf baat karen
ki ab to khul hi gae bhed istiaron ke
na jaane aaKHir-e-shab kis ke dil pe choT paDi
ki Dub Dub gae jaise dil sitaron ke
firaqe-e-gul mein kaTi zindagi KHizaon ki
suragh-e-gul mein luTe qafile bahaaron ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.