wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin
vo ranjisheñ vo marāsim kā silsila hī nahīñ
yahāñ kisī meñ vo pahlā sā rābta hī nahīñ
maiñ ḳhushbuoñ ke ta.āqub meñ aa gayā huuñ vahāñ
jahāñ se lauT ke jaane kā rāstā hī nahīñ
ye ḳhud-sarī yā sharārat usī kā hissa hai
vo koī khel mohabbat meñ hārtā hī nahīñ
ye e'tirāf bhī ghabrā ke kar liyā maiñ ne
maiñ chāhtā huuñ tujhe sirf sochtā hī nahīñ
uḌā ke le gayā rātoñ kī niiñd āñkhoñ se
vo kam-suḳhan jo kabhī mujh se boltā hī nahīñ
pukārtā huuñ maiñ us ko usī kī chaukhaT se
kivāḌ jism ke jo mujh pe kholtā hī nahīñ
tabāh ho ga.e ḳhuddāriyoñ meñ donoñ 'ra.īs'
vo ḳhud ko sauñp de lekin maiñ māñgtā hī nahīñ
wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin
yahan kisi mein wo pahla sa rabta hi nahin
main KHushbuon ke taaqub mein aa gaya hun wahan
jahan se lauT ke jaane ka rasta hi nahin
ye KHud-sari ya shararat usi ka hissa hai
wo koi khel mohabbat mein haarta hi nahin
ye e'tiraf bhi ghabra ke kar liya main ne
main chahta hun tujhe sirf sochta hi nahin
uDa ke le gaya raaton ki nind aankhon se
wo kam-suKHan jo kabhi mujh se bolta hi nahin
pukarta hun main us ko usi ki chaukhaT se
kiwaD jism ke jo mujh pe kholta hi nahin
tabah ho gae KHuddariyon mein donon 'rais'
wo KHud ko saunp de lekin main mangta hi nahin
- Book : Mizgan(Raees Ahmad Ansari Number : Shumara Number-027,028) (Pg. 270)
- Author : Naushad Momin
- Publication : M. N. Kashif (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.