wo raushni wo mahak mere nam hi na hui
vo raushnī vo mahak mere naam hī na huī
vo sub.h phir nahīñ aa.ī vo shaam hī na huī
hazār rang bichhe the hazār qāmat the
magar zamīn pe fasl-e-qiyām hī na huī
abhī to tauq hai gardan meñ paañv meñ zanjīr
hikāyat-e-ġham-e-daurāñ tamām hī na huī
mirī sadā pe to ghar se koī nahīñ niklā
ajiib log the ye rasm aam hī na huī
hamīñ ne sach ke evaz daar chuum lī 'sarmad'
phir is ke baad ḳhamoshī mudām hī na huī
wo raushni wo mahak mere nam hi na hui
wo subh phir nahin aai wo sham hi na hui
hazar rang bichhe the hazar qamat the
magar zamin pe fasl-e-qiyam hi na hui
abhi to tauq hai gardan mein panw mein zanjir
hikayat-e-gham-e-dauran tamam hi na hui
meri sada pe to ghar se koi nahin nikla
ajib log the ye rasm aam hi na hui
hamin ne sach ke ewaz dar chum li 'sarmad'
phir is ke baad KHamoshi mudam hi na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.