wo rut na rahi wo din na rahe wo subh nahin wo sham nahin
wo rut na rahi wo din na rahe wo subh nahin wo sham nahin
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
vo rut na rahī vo din na rahe vo sub.h nahīñ vo shaam nahīñ
ārām kī hasrat kaun kare taqdīr meñ jab ārām nahīñ
himmat ke sahāre baḌhtā jā go manzil-e-ulfat duur sahī
tū phir bhī use do gaam samajh jī chhoḌne kā hangām nahīñ
vo kaif nahīñ vo daur nahīñ kuchh aur falak hai aur zamīñ
ab sub.h hamārī sub.h nahīñ ab shaam hamārī shaam nahīñ
hangāma-e-mahshar barpā hai tūfān se Takkar le baḌh kar
ai dost abhī ārām na kar ārām kā ye hangām nahīñ
badlī jo fazā maiḳhāne kī be-kaif huī mai-noshī bhī
ai 'soz' hameñ jo mast kare ab aisī mai-e-gulfām nahīñ
wo rut na rahi wo din na rahe wo subh nahin wo sham nahin
aaram ki hasrat kaun kare taqdir mein jab aaram nahin
himmat ke sahaare baDhta ja go manzil-e-ulfat dur sahi
tu phir bhi use do gam samajh ji chhoDne ka hangam nahin
wo kaif nahin wo daur nahin kuchh aur falak hai aur zamin
ab subh hamari subh nahin ab sham hamari sham nahin
hangama-e-mahshar barpa hai tufan se Takkar le baDh kar
ai dost abhi aaram na kar aaram ka ye hangam nahin
badli jo faza maiKHane ki be-kaif hui mai-noshi bhi
ai 'soz' hamein jo mast kare ab aisi mai-e-gulfam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.