wo ruh-e-gulistan hai fitrat ki nishani hai
vo rūh-e-gulistāñ hai fitrat kī nishānī hai
phūloñ kī latāfat hai kaliyoñ kī javānī hai
ik dard kā qissa hai ik ġham kī kahānī hai
jazbāt kī shiddat hai ashkoñ kī ravānī hai
har daur ke dāman se vābasta use kahiye
ye merā fasāna hai ye merī kahānī hai
donoñ se mohabbat kī ābād huī duniyā
maiñ terā fasāna huuñ tū merī kahānī hai
duniyā ko abhī tak ye ma.alūm nahīñ shāyad
vo jān-e-talab mere ḳhvāboñ kī nishānī hai
mai-ḳhāna-e-ulfat ke haiñ tauba-shikan lamhe
mai-ḳhāna-e-ulfat kī har shaam suhānī hai
chheḌī jo ġhazal maiñ ne arbāb-e-suḳhan bole
kyā husn hai sheroñ meñ kyā jādū-bayānī hai
ai zulm ke matvāle kyoñ is ko bahāte ho
ye ḳhuun hai insāñ kā sahbā hai na paanī hai
jo ahl-e-mohabbat haiñ kah do ye 'nigār' un se
āfāt se Takrānā izzat kī nishānī hai
wo ruh-e-gulistan hai fitrat ki nishani hai
phulon ki latafat hai kaliyon ki jawani hai
ek dard ka qissa hai ek gham ki kahani hai
jazbaat ki shiddat hai ashkon ki rawani hai
har daur ke daman se wabasta use kahiye
ye mera fasana hai ye meri kahani hai
donon se mohabbat ki aabaad hui duniya
main tera fasana hun tu meri kahani hai
duniya ko abhi tak ye malum nahin shayad
wo jaan-e-talab mere KHwabon ki nishani hai
mai-KHana-e-ulfat ke hain tauba-shikan lamhe
mai-KHana-e-ulfat ki har sham suhani hai
chheDi jo ghazal main ne arbab-e-suKHan bole
kya husn hai sheron mein kya jadu-bayani hai
ai zulm ke matwale kyon is ko bahate ho
ye KHun hai insan ka sahba hai na pani hai
jo ahl-e-mohabbat hain kah do ye 'nigar' un se
aafat se Takrana izzat ki nishani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.