wo ruTha to mujhko hansi aai bas
vo rūThā to mujh ko hañsī aa.ī bas
ghulā us ke ġhusse meñ hai prem-ras
milan kī vo bārish thī biite baras
nahīñ jā rahī hai ye zālim umas
ye kahlāyā maiñ ne dikhā ik jhalak
ḳhabar ye milī vo nahīñ Tas se mas
vo jism-e-hasīñ muskurātā huā
sharārat se merī phaḌaktī hai nas
vo manzil usī kī taraf kārvāñ
usī kī hai āvāz bāñg-e-jaras
vaqār-e-ta'alluq isī meñ to hai
na us meñ havas aur na mujh meñ havas
ḳhilāf-e-tavaqqo’ vo aaya yahāñ
mire ghar se ḳhushiyāñ huiiñ ḳhuub mas
'suhail' us se māñgā thā maiñ ne to ek
ye us kī adā de diye us ne das
wo ruTha to mujh ko hansi aai bas
ghula us ke ghusse mein hai prem-ras
milan ki wo barish thi bite baras
nahin ja rahi hai ye zalim umas
ye kahlaya main ne dikha ek jhalak
KHabar ye mili wo nahin Tas se mas
wo jism-e-hasin muskuraata hua
shararat se meri phaDakti hai nas
wo manzil usi ki taraf karwan
usi ki hai aawaz bang-e-jaras
waqar-e-ta'alluq isi mein to hai
na us mein hawas aur na mujh mein hawas
KHilaf-e-tawaqqo’ wo aaya yahan
mere ghar se KHushiyan huin KHub mas
'suhail' us se manga tha main ne to ek
ye us ki ada de diye us ne das
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.