wo samne hon aur nazar ko KHabar na ho
vo sāmne hoñ aur nazar ko ḳhabar na ho
barbād is qadar bhī shu.ūr-e-nazar na ho
tujh se ilaaj agar na ho ai chārāgar na ho
rāz-e-ġham-e-marīz magar dar-ba-dar na ho
āñkheñ bichhī huī haiñ bahut duur duur tak
mumkin nahīñ ki aap kī ye rahguzar na ho
mujh par baras paḌe na kahīñ barhamī-e-zulf
jo tere sar balā hai mire dil ke sar na ho
tujh se hī mere jazba-e-ulfat meñ jaan hai
ai zindagī hayāt tirī muḳhtasar na ho
hai vus.at-e-nigāh ko kuchh aur justujū
ai hadd-e-kā.enāt tū hadd-e-nazar na ho
rāh-e-vafā kā lutf bhī kuchh chal ke dekhiye
is rahguzar pe aap kā shāyad guzar na ho
jazbāt-e-dil ko laakh chhupāte ho tum magar
is bazm meñ kahīñ koī ahl-e-nazar na ho
kyā ho gayā hai tujh ko ḳhudā jaane ai 'zakī'
dil meñ koī ho aur nazar ko ḳhabar na ho
wo samne hon aur nazar ko KHabar na ho
barbaad is qadar bhi shuur-e-nazar na ho
tujh se ilaj agar na ho ai chaaragar na ho
raaz-e-gham-e-mariz magar dar-ba-dar na ho
aankhen bichhi hui hain bahut dur dur tak
mumkin nahin ki aap ki ye rahguzar na ho
mujh par baras paDe na kahin barhami-e-zulf
jo tere sar bala hai mere dil ke sar na ho
tujh se hi mere jazba-e-ulfat mein jaan hai
ai zindagi hayat teri muKHtasar na ho
hai wusat-e-nigah ko kuchh aur justuju
ai hadd-e-kaenat tu hadd-e-nazar na ho
rah-e-wafa ka lutf bhi kuchh chal ke dekhiye
is rahguzar pe aap ka shayad guzar na ho
jazbaat-e-dil ko lakh chhupate ho tum magar
is bazm mein kahin koi ahl-e-nazar na ho
kya ho gaya hai tujh ko KHuda jaane ai 'zaki'
dil mein koi ho aur nazar ko KHabar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.