wo sab ilzam mere sar pe dharta ja raha hai
vo sab ilzām mere sar pe dhartā jā rahā hai
zamāne kī nigāhoñ meñ sañvartā jā rahā hai
na.ī har dostī ke marhale par ek rishta
ikaTThā kartā jaatā huuñ bikhartā jā rahā hai
kisī ko bhā ga.ī hai mere raste kī musībat
safar hisse kā mere koī kartā jā rahā hai
vo hāsil ho chukā hai jis ko paane kī thī hasrat
junūñ jo thā kabhī sar par utartā jā rahā hai
wo sab ilzam mere sar pe dharta ja raha hai
zamane ki nigahon mein sanwarta ja raha hai
nai har dosti ke marhale par ek rishta
ikaTTha karta jata hun bikharta ja raha hai
kisi ko bha gai hai mere raste ki musibat
safar hisse ka mere koi karta ja raha hai
wo hasil ho chuka hai jis ko pane ki thi hasrat
junun jo tha kabhi sar par utarta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.