wo sab se pahle mera zarf aazma ke mila
vo sab se pahle mirā zarf aazmā ke milā
phir is ke baa'd milā to nazar jhukā ke milā
use bhī apne hī jaisā banā diyā us ne
vo ek qatra samundar se jo ki jā ke milā
ġhubār-e-vaqt kī tah jam ga.ī thī chehre par
vo aate jaate milā jab bhī muñh chhupā ke milā
jise bujhāne kī koshish meñ thā zamāna vo
charāġh jaltā huā dosh pe havā ke milā
vo dard ban ke mire dil meñ 'shād' rahtā hai
jo ek baar bhī mujh se na muskurā ke milā
wo sab se pahle mera zarf aazma ke mila
phir is ke ba'd mila to nazar jhuka ke mila
use bhi apne hi jaisa bana diya us ne
wo ek qatra samundar se jo ki ja ke mila
ghubar-e-waqt ki tah jam gai thi chehre par
wo aate jate mila jab bhi munh chhupa ke mila
jise bujhane ki koshish mein tha zamana wo
charagh jalta hua dosh pe hawa ke mila
wo dard ban ke mere dil mein 'shad' rahta hai
jo ek bar bhi mujh se na muskura ke mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.