wo sabr-o-sukun wo zabt-e-fughan ai dida-e-tar hum kho baiThe
wo sabr-o-sukun wo zabt-e-fughan ai dida-e-tar hum kho baiThe
Noorul Huda Noor Zabihi Banarsi
MORE BYNoorul Huda Noor Zabihi Banarsi
vo sabr-o-sukūñ vo zabt-e-fuġhāñ ai dīda-e-tar ham kho baiThe
shab bhar kī kamā.ī haa.e ġhazab hangām-e-sahar ham kho baiThe
sarmāya-e-ulfat the mere kuchh ḳhuun ke qatre kuchh aañsū
ik vaqt magar aisā aaya vo la.al-o-gohar ham kho baiThe
ġham hai ki subūt-e-ishq-o-vafā vaqt aane pe ham deñge bhī to kyā
jazbāt pe qaabū rah na sakā ashkoñ ke guhar ham kho baiThe
ifrāt-e-alam se gar hañsnā bhūle to ye koī baat nahīñ
ham par ye zamāna hañs degā ronā bhī agar ham kho baiThe
har rahbar-e-rāh-e-ulfat kī taqlīd kā ye anjām huā
jis raah meñ mil jaatī manzil vo rāhguzar ham kho baiThe
jazbāt meñ jab tak garmī thī chilman meñ na larzish tak aa.ī
afsos ki ab parda uTThā jab tāb-e-nazar ham kho baiThe
ai 'nūr' shab-e-furqat kī qasam mahrūmī-e-qismat par apnī
rote to haiñ par ab rone kā andāz magar ham kho baiThe
wo sabr-o-sukun wo zabt-e-fughan ai dida-e-tar hum kho baiThe
shab bhar ki kamai hae ghazab hangam-e-sahar hum kho baiThe
sarmaya-e-ulfat the mere kuchh KHun ke qatre kuchh aansu
ek waqt magar aisa aaya wo lal-o-gohar hum kho baiThe
gham hai ki subut-e-ishq-o-wafa waqt aane pe hum denge bhi to kya
jazbaat pe qabu rah na saka ashkon ke guhar hum kho baiThe
ifraat-e-alam se gar hansna bhule to ye koi baat nahin
hum par ye zamana hans dega rona bhi agar hum kho baiThe
har rahbar-e-rah-e-ulfat ki taqlid ka ye anjam hua
jis rah mein mil jati manzil wo rahguzar hum kho baiThe
jazbaat mein jab tak garmi thi chilman mein na larzish tak aai
afsos ki ab parda uTTha jab tab-e-nazar hum kho baiThe
ai 'nur' shab-e-furqat ki qasam mahrumi-e-qismat par apni
rote to hain par ab rone ka andaz magar hum kho baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.