wo saKHi hai to kisi roz bula kar le jae
vo saḳhī hai to kisī roz bulā kar le jaa.e
aur mujhe vasl ke ādāb sikhā kar le jaa.e
mere andar kisī afsos kī tārīkī hai
is añdhere meñ koī aag jalā kar le jaa.e
ye mirī ruuh meñ naddī kī thakan kaisī hai
vo samundar kī tarah aa.e bahā kar le jaa.e
hijr meñ jism ke asrār kahāñ khulte haiñ
ab vahī sehr kare pyaar se aa kar le jaa.e
ḳhaak āñkhoñ meñ hai vo ḳhvāb kahāñ miltā hai
jo mujhe qaid-e-manāzir se rihā kar le jaa.e
wo saKHi hai to kisi roz bula kar le jae
aur mujhe wasl ke aadab sikha kar le jae
mere andar kisi afsos ki tariki hai
is andhere mein koi aag jala kar le jae
ye meri ruh mein naddi ki thakan kaisi hai
wo samundar ki tarah aae baha kar le jae
hijr mein jism ke asrar kahan khulte hain
ab wahi sehr kare pyar se aa kar le jae
KHak aankhon mein hai wo KHwab kahan milta hai
jo mujhe qaid-e-manazir se riha kar le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.