wo sang ho ki shajar karb-e-intizar mein hai
vo sang ho ki shajar karb-e-intizār meñ hai
kise ye ilm hai kyā parda-e-ġhubār meñ hai
kashāñ kashāñ liye jaatī hai tum ko jis kī kashish
vo saaya saaya sadā bahr-e-be-kanār meñ hai
karā.ūñgā tirī jāñ-baḳhshī nazr-e-jāñ kar ke
mujhe batā to sahī kis ke iḳhtiyār meñ hai
kahāñ kā qasd karūñ kuchh patā to ho ma.alūm
sunā hai itnā kisī ajnabī dayār meñ hai
sukūt-zā hī nahīñ hai suḳhan-tarāz bhī hai
zarūr sho.ala koī sang-e-rahguzār meñ hai
ye hai ki sher kā asrār-āshnā hai vo
vagarna rakkhā kyā us meñ hai kis shumār meñ hai
wo sang ho ki shajar karb-e-intizar mein hai
kise ye ilm hai kya parda-e-ghubar mein hai
kashan kashan liye jati hai tum ko jis ki kashish
wo saya saya sada bahr-e-be-kanar mein hai
karaunga teri jaan-baKHshi nazr-e-jaan kar ke
mujhe bata to sahi kis ke iKHtiyar mein hai
kahan ka qasd karun kuchh pata to ho malum
suna hai itna kisi ajnabi dayar mein hai
sukut-za hi nahin hai suKHan-taraaz bhi hai
zarur shoala koi sang-e-rahguzar mein hai
ye hai ki sher ka asrar-ashna hai wo
wagarna rakkha kya us mein hai kis shumar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.