wo sang-zad hain un par paDi hai kya uftad
vo sang-zād haiñ un par paḌī hai kyā uftād
ḳhalā-e-tīra meñ haiñ haath sho.ala-e-fariyād
isī pahāḌ ke pīchhe hai vādī-e-zartāb
yahāñ jo qāfile pal-bhar ruke hue barbād
yahīñ se us kī savārī guzarne vaalī thī
shikasta khiḌkiyoñ par chehra chehra hai nāshād
ujaaḌ piilī havā saa.eñ saa.eñ chaltī hai
nazar nazar haiñ gulāboñ kī vādiyāñ ābād
nigal bhī le koī tīra-nahang kyā ġham hai
hai harf harf havā par raqam mirī rūdād
wo sang-zad hain un par paDi hai kya uftad
KHala-e-tira mein hain hath shoala-e-fariyaad
isi pahaD ke pichhe hai wadi-e-zartab
yahan jo qafile pal-bhar ruke hue barbaad
yahin se us ki sawari guzarne wali thi
shikasta khiDkiyon par chehra chehra hai nashad
ujaD pili hawa saen saen chalti hai
nazar nazar hain gulabon ki wadiyan aabaad
nigal bhi le koi tira-nahang kya gham hai
hai harf harf hawa par raqam meri rudad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.