wo sanwarenge mujhe kya gul-e-zebai tak
vo sañvāreñge mujhe kyā gul-e-zebā.ī tak
raas aa.ī na jinheñ merī pazīrā.ī tak
haar kā sadma huā hai ki hai sāzish koī
ḳhush to thī ḳhuub mohabbat mirī paspā.ī tak
phir to mumkin hai ka.ī aur bhī ġham nikleñge
baat pahuñchegī agar dast-e-masīhā.ī tak
ishq to ishq hai mat tah meñ tum is kī utro
Dūbne vaale bhī pahuñche nahīñ gahrā.ī tak
ishq kī raah meñ kitnī hī lakīreñ khīñcho
aag pahuñchegī bahar-hāl tamannā.ī tak
ab ḳhudā jaane guzar jā.egī mujh par kyā kyā
vo mujhe chhoḌ gayā hai mirī tanhā.ī tak
tū kahāñ hadd-e-suḳhanvar kī hai zad meñ 'ārif'
sirf mahdūd hai tū qāfiya-paimā.ī tak
wo sanwarenge mujhe kya gul-e-zebai tak
ras aai na jinhen meri pazirai tak
haar ka sadma hua hai ki hai sazish koi
KHush to thi KHub mohabbat meri paspai tak
phir to mumkin hai kai aur bhi gham niklenge
baat pahunchegi agar dast-e-masihai tak
ishq to ishq hai mat tah mein tum is ki utro
Dubne wale bhi pahunche nahin gahrai tak
ishq ki rah mein kitni hi lakiren khincho
aag pahunchegi bahar-haal tamannai tak
ab KHuda jaane guzar jaegi mujh par kya kya
wo mujhe chhoD gaya hai meri tanhai tak
tu kahan hadd-e-suKHanwar ki hai zad mein 'arif'
sirf mahdud hai tu qafiya-paimai tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.