Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo sapnon mein mile aa kar kaho is mein bura kya hai

Anwar Sheikh

wo sapnon mein mile aa kar kaho is mein bura kya hai

Anwar Sheikh

MORE BYAnwar Sheikh

    vo sapnoñ meñ mile aa kar kaho is meñ burā kyā hai

    vo bahlātā hai dil ko gar kaho is meñ burā kyā hai

    hai barbādī ābādī use paane ḳhātir maiñ

    agar phirtā rahūñ dar-dar kaho is meñ burā kyā hai

    nahīñ kuchh rasm-o-rah ham se na milte haiñ na likhte haiñ

    magar yaad aate haiñ aksar kaho is meñ burā kyā hai

    na luTne koī ḳhadsha na Dar hai ab luTeroñ

    luTāyā jab se apnā ghar kaho is meñ burā kyā hai

    ye kyā e.ajāz-e-tark-emai ḳhudā ḳhush hai milā vo bhī

    jo misl-e-mai nasha-āvar kaho is meñ burā kyā hai

    guzārī umr saarī DhūñDne meñ tum ko ai jānam

    na jānūñ farq-e-ḳhair-o-shar kaho is meñ burā kyā hai

    tumheñ dekhā to āzādī se mujh ko ho ga.ī nafrat

    agar mānūñ tumheñ afsar kaho is meñ burā kyā hai

    mujhe 'anvar' satāte ho ghumāte ho nachāte ho

    banā huuñ ab maiñ bāzīgar kaho is meñ burā kyā hai

    wo sapnon mein mile aa kar kaho is mein bura kya hai

    wo bahlata hai dil ko gar kaho is mein bura kya hai

    hai barbaadi si aabaadi use pane ki KHatir main

    agar phirta rahun dar-dar kaho is mein bura kya hai

    nahin kuchh rasm-o-rah hum se na milte hain na likhte hain

    magar yaad aate hain aksar kaho is mein bura kya hai

    na luTne ka koi KHadsha na Dar hai ab luTeron ka

    luTaya jab se apna ghar kaho is mein bura kya hai

    ye kya eajaz-e-tark-emai KHuda KHush hai mila wo bhi

    jo misl-e-mai nasha-awar kaho is mein bura kya hai

    guzari umr sari DhunDne mein tum ko ai jaanam

    na jaanun farq-e-KHair-o-shar kaho is mein bura kya hai

    tumhein dekha to aazadi se mujh ko ho gai nafrat

    agar manun tumhein afsar kaho is mein bura kya hai

    mujhe 'anwar' satate ho ghumate ho nachate ho

    bana hun ab main bazigar kaho is mein bura kya hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now