wo sar se panw talak chahaton mein Duba tha
vo sar se paañv talak chāhatoñ meñ Duubā thā
vo shaḳhs kyā thā mohabbat kā isti.āra thā
na chāñd thā na sitāra na phuul thā na dhanak
vo phir bhī husn kī duniyā meñ ik izāfa thā
mujhe pata hī nahīñ kab vo lafz-e-kun ban kar
mire vajūd ke dīvār-o-dar meñ gūñjā thā
ajiib baat hai dekhā na thā kisī ne use
ajiib baat hai ghar ghar usī kā charchā thā
kisī se koī ġharaz thī na koī aas us ko
vo saarī bhiiḌ se kaT kar akelā rahtā thā
samundaroñ se thī gahrā.ī us kī sochoñ meñ
vo apnī zaat meñ ik kā.enāt jiitā thā
'ḳhumār' naam ke shā.ir se mil chukā huuñ maiñ
udāsiyoñ ke ghane jañgaloñ meñ rahtā thā
wo sar se panw talak chahaton mein Duba tha
wo shaKHs kya tha mohabbat ka istiara tha
na chand tha na sitara na phul tha na dhanak
wo phir bhi husn ki duniya mein ek izafa tha
mujhe pata hi nahin kab wo lafz-e-kun ban kar
mere wajud ke diwar-o-dar mein gunja tha
ajib baat hai dekha na tha kisi ne use
ajib baat hai ghar ghar usi ka charcha tha
kisi se koi gharaz thi na koi aas us ko
wo sari bhiD se kaT kar akela rahta tha
samundaron se thi gahrai us ki sochon mein
wo apni zat mein ek kaenat jita tha
'KHumar' nam ke shair se mil chuka hun main
udasiyon ke ghane jangalon mein rahta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.