wo sawalat mujh par uchhaale gae
vo savālāt mujh par uchhāle ga.e
chaah kar bhī na jo mujh se Taale ga.e
thā ye raushan jahāñ raushnī un se thī
vo ga.e saath un ke ujāle ga.e
ḳhat to yuuñ saikaḌoñ maiñ ne un ko likhe
jo bhī dil se likhe vo sambhāle ga.e
jab zabāñ band thī roTī miltī rahī
khol dī phir to muñh ke nivāle ga.e
ḳhaar rāhoñ meñ ġhairoñ ne Daale magar
dostoñ ke ishāroñ pe Daale ga.e
jag ne tārīf jitnī bhī merī sunī
dosh utne hī mujh meñ nikāle ga.e
ashk pī kar jo ġhairoñ ke hañste rahe
log 'kalkal' kahāñ vo nirāle ga.e
wo sawalat mujh par uchhaale gae
chah kar bhi na jo mujh se Tale gae
tha ye raushan jahan raushni un se thi
wo gae sath un ke ujale gae
KHat to yun saikaDon main ne un ko likhe
jo bhi dil se likhe wo sambhaale gae
jab zaban band thi roTi milti rahi
khol di phir to munh ke niwale gae
KHar rahon mein ghairon ne Dale magar
doston ke ishaaron pe Dale gae
jag ne tarif jitni bhi meri suni
dosh utne hi mujh mein nikale gae
ashk pi kar jo ghairon ke hanste rahe
log 'kalkal' kahan wo nirale gae
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 39)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.