wo shab-shikan se naya aaftab nikla hai
vo shab-shikan se nayā āftāb niklā hai
lahū kī shāḳh pe tanhā gulāb niklā hai
mirī kitāb meñ jis kā koī nishāñ bhī nahīñ
usī ke naam magar intisāb niklā hai
jahāñ jahāñ mujhe chāhā thā tū ne ḳharch kiyā
isī lihāz se merā hisāb niklā hai
na saikḌoñ na hazāroñ na laakh kī bāteñ
vo intiḳhāb meñ bhī intiḳhāb niklā hai
jo dūsroñ ke ta.āqub meñ roz-o-shab kaaTe
usī ke ghar se nayā ehtisāb niklā hai
shajar shajar hue shādāb phuul phal aa.e
na.e safar pe agar inqalāb niklā hai
kuchh aise vaqt ne luuTā shabāb tak us kā
usī kī khoj meñ ḳhāna-ḳharāb niklā hai
wo shab-shikan se naya aaftab nikla hai
lahu ki shaKH pe tanha gulab nikla hai
meri kitab mein jis ka koi nishan bhi nahin
usi ke nam magar intisab nikla hai
jahan jahan mujhe chaha tha tu ne KHarch kiya
isi lihaz se mera hisab nikla hai
na saikDon na hazaron na lakh ki baaten
wo intiKHab mein bhi intiKHab nikla hai
jo dusron ke taaqub mein roz-o-shab kaTe
usi ke ghar se naya ehtisab nikla hai
shajar shajar hue shadab phul phal aae
nae safar pe agar inqalab nikla hai
kuchh aise waqt ne luTa shabab tak us ka
usi ki khoj mein KHana-KHarab nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.