wo shabab Dhal ke guzar gaya wo jigar wo zauq-o-nazar gai
wo shabab Dhal ke guzar gaya wo jigar wo zauq-o-nazar gai
Waseem Hassan Mirchal
MORE BYWaseem Hassan Mirchal
vo shabāb Dhal ke guzar gayā vo jigar vo zauq-o-nazar ga.ī
koī kyoñ ginā.e vo dāstāñ jo guzar ga.ī so guzar ga.ī
mirī bazm meñ koī bhuul kar na kare vafāoñ pe tazkira
ye ḳhayāl dil se dhuāñ huā ye du'ā nazar se utar ga.ī
kahīñ tere ghar kā pata milā maiñ anā sameT ke chal diyā
jo bhī raah thī tire shahr tak mire ābloñ se sañvar ga.ī
ka.ī hādsoñ kā husūl haiñ ye mire mizāj kī talḳhiyāñ
vo mirī nazākat-e-guftugū kisī ġham kī oT meñ mar ga.ī
mirā zo'f ab kā fasāna hai pe ye kal kī baat hai shām-e-ġham
tirī vahshatoñ ke hisār tak mire hausloñ kī ḳhabar ga.ī
kabhī taaq shab kabhī nīm-shab vo har ik du'ā tire vasl kī
kahīñ bijliyoñ se ulajh ga.ī kahīñ bādaloñ meñ Thahar ga.ī
wo shabab Dhal ke guzar gaya wo jigar wo zauq-o-nazar gai
koi kyon ginae wo dastan jo guzar gai so guzar gai
meri bazm mein koi bhul kar na kare wafaon pe tazkira
ye KHayal dil se dhuan hua ye du'a nazar se utar gai
kahin tere ghar ka pata mila main ana sameT ke chal diya
jo bhi rah thi tere shahr tak mere aablon se sanwar gai
kai hadson ka husul hain ye mere mizaj ki talKHiyan
wo meri nazakat-e-guftugu kisi gham ki oT mein mar gai
mera zo'f ab ka fasana hai pe ye kal ki baat hai sham-e-gham
teri wahshaton ke hisar tak mere hauslon ki KHabar gai
kabhi taq shab kabhi nim-shab wo har ek du'a tere wasl ki
kahin bijliyon se ulajh gai kahin baadalon mein Thahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.