wo shahr bhul jao wo baam bhul jao
vo shahr bhuul jaao vo baam bhuul jaao
jis shaam ko mile the vo shaam bhuul jaao
sūrat bhulā dī tum ne ab naam bhuul jaao
aur jaan ke hameñ tum gumnām bhuul jaao
shāyad nahīñ dubāra milnā nasīb meñ hai
donoñ ne jo piyā thā vo jaam bhuul jaao
ulfat kī dāstāñ meñ honā agar amar hai
kirdār meñ Dhalo tum ye naam bhuul jaao
jo saath saath ham ne jān-e-jahāñ guzāre
vo sub.h bhuul jaao vo shaam bhuul jaao
mil ke raheñge saare amn-o-sukūn se ham
aao gale milo tum ilzām bhuul jaao
chalte raho musalsal manzil kī or 'ash.har'
ye zindagī safar hai ārām bhuul jaao
wo shahr bhul jao wo baam bhul jao
jis sham ko mile the wo sham bhul jao
surat bhula di tum ne ab nam bhul jao
aur jaan ke hamein tum gumnam bhul jao
shayad nahin dubara milna nasib mein hai
donon ne jo piya tha wo jam bhul jao
ulfat ki dastan mein hona agar amar hai
kirdar mein Dhalo tum ye nam bhul jao
jo sath sath hum ne jaan-e-jahan guzare
wo subh bhul jao wo sham bhul jao
mil ke rahenge sare amn-o-sukun se hum
aao gale milo tum ilzam bhul jao
chalte raho musalsal manzil ki or 'ashhar'
ye zindagi safar hai aaram bhul jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.