wo shaKHs aaj mujhko ek aaina dikha gaya
vo shaḳhs aaj mujh ko ek aa.ina dikhā gayā
talab ke bhī usuul haiñ yahī mujhe batā gayā
ye qā.ede kī baat thī talab mirī bhī shaad ho
zarā sā thā mutālba vo be-nuqat sunā gayā
shabān-e-hijr meñ mirā jo ham-nafas banā rahā
visāl-rut jab aa ga.ī vo merā āshnā gayā
arab ke regzār meñ chhupī huī bahār thī
uThā jab ek shaḳhs to gulāb sab khilā gayā
nayā nayā sā ahd hai na.ī na.ī rivāyateñ
kitāb meñ vo pankhuḌī kā silsila chalā gayā
maiñ ek dhuñdle aks ko lapak rahā thā ḳhvāb meñ
vo bachpane sā lag rahā thā jo gayā gayā gayā
vo dard-āshnā mirā vo ham-nafas vo ham-nashīñ
zarā sī baat par mujhe hī ajnabī banā gayā
janāb-e-'dānish-asrī’ aap sochnā hī chhoḌ deñ
kahīñ rukā nahīñ hai vo ba-hadd-e-intihā gayā
wo shaKHs aaj mujh ko ek aaina dikha gaya
talab ke bhi usul hain yahi mujhe bata gaya
ye qaede ki baat thi talab meri bhi shad ho
zara sa tha mutalba wo be-nuqat suna gaya
shaban-e-hijr mein mera jo ham-nafas bana raha
visal-rut jab aa gai wo mera aashna gaya
arab ke regzar mein chhupi hui bahaar thi
uTha jab ek shaKHs to gulab sab khila gaya
naya naya sa ahd hai nai nai riwayaten
kitab mein wo pankhuDi ka silsila chala gaya
main ek dhundle aks ko lapak raha tha KHwab mein
wo bachpane sa lag raha tha jo gaya gaya gaya
wo dard-ashna mera wo ham-nafas wo ham-nashin
zara si baat par mujhe hi ajnabi bana gaya
janab-e-'danish-asri’ aap sochna hi chhoD den
kahin ruka nahin hai wo ba-hadd-e-intiha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.