wo shaKHs ban gaya meri KHu-e-hayat kyon
wo shaKHs ban gaya meri KHu-e-hayat kyon
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
vo shaḳhs ban gayā mirī ḳhū-e-hayāt kyoñ
us meñ dikhā.ī detī hai ye kā.enāt kyoñ
jab haath chūmne kī mirī iltijā sunī
yuuñ muskurā ke kahne lage sirf haath kyoñ
pūchhā agar ho izn to ik baat maiñ kahūñ
to bole muskurā ke vo bas ek baat kyoñ
shoḳhī to dekhiye ki mujhe qatl kar ke bhī
nārāz is pe haiñ ki gañvā.ī hayāt kyoñ
wo shaKHs ban gaya meri KHu-e-hayat kyon
us mein dikhai deti hai ye kaenat kyon
jab hath chumne ki meri iltija suni
yun muskura ke kahne lage sirf hath kyon
puchha agar ho izn to ek baat main kahun
to bole muskura ke wo bas ek baat kyon
shoKHi to dekhiye ki mujhe qatl kar ke bhi
naraaz is pe hain ki ganwai hayat kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.