wo shaKHs jo zaKHmon ki rida de ke gaya hai
vo shaḳhs jo zaḳhmoñ kī ridā de ke gayā hai
is shahr meñ jiine kī sazā de ke gayā hai
sadiyoñ se maiñ sannāToñ kī bastī meñ khaḌā huuñ
ye kaun mujhe sang-e-sadā de ke gayā hai
aaya thā koī le ke ujāloñ kā sahīfa
be-nūr charāġhoñ ko ziyā de ke gayā hai
raste meñ shajar hai na kahīñ yaad kā saaya
vo jaane mujhe kaisī duā de ke gayā hai
ḳhvāboñ ke darīchoñ se guhar lūTne vaalā
kuchh merī talab se bhī sivā de ke gayā hai
sochā thā bujhā degā mire soz-e-darūñ ko
dekhā to vo sho.aloñ ko havā de ke gayā hai
vo phuul sā chehra ki jo kal saath thā mere
ik dard mire dil ko nayā de ke gayā hai
kis soch meñ Duube ho pareshān ho 'ḳhālid'
vo shaḳhs to jiine kī duā de ke gayā hai
wo shaKHs jo zaKHmon ki rida de ke gaya hai
is shahr mein jine ki saza de ke gaya hai
sadiyon se main sannaTon ki basti mein khaDa hun
ye kaun mujhe sang-e-sada de ke gaya hai
aaya tha koi le ke ujalon ka sahifa
be-nur charaghon ko ziya de ke gaya hai
raste mein shajar hai na kahin yaad ka saya
wo jaane mujhe kaisi dua de ke gaya hai
KHwabon ke darichon se guhar luTne wala
kuchh meri talab se bhi siwa de ke gaya hai
socha tha bujha dega mere soz-e-darun ko
dekha to wo shoalon ko hawa de ke gaya hai
wo phul sa chehra ki jo kal sath tha mere
ek dard mere dil ko naya de ke gaya hai
kis soch mein Dube ho pareshan ho 'KHalid'
wo shaKHs to jine ki dua de ke gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.