wo shaKHs kabhi dasht se guzre use kahna
vo shaḳhs kabhī dasht se guzre use kahnā
ik pal to mire ghar meñ bhī Thahre use kahnā
phir vaqt ke maqtal meñ hī sajtī haiñ vo āñkheñ
jo dekhtī haiñ ḳhvāb sunahre use kahnā
kahnā ki samandar ke kināre pe na jaa.e
kuchh log samandar se bhī gahre use kahnā
chāhat kī bhalā kaun sune rām-kahānī
is shahr ke sab log haiñ bahre use kahnā
is shahr meñ sach kah ke gunahgār na honā
har shaḳhs kī sochoñ pe haiñ pahre use kahnā
wo shaKHs kabhi dasht se guzre use kahna
ek pal to mere ghar mein bhi Thahre use kahna
phir waqt ke maqtal mein hi sajti hain wo aankhen
jo dekhti hain KHwab sunahre use kahna
kahna ki samandar ke kinare pe na jae
kuchh log samandar se bhi gahre use kahna
chahat ki bhala kaun sune ram-kahani
is shahr ke sab log hain bahre use kahna
is shahr mein sach kah ke gunahgar na hona
har shaKHs ki sochon pe hain pahre use kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.