wo shaKHs mere dil se nikal hi nahin raha
vo shaḳhs mere dil se nikal hī nahīñ rahā
dil hai ki apnī zid se pighal hī nahīñ rahā
ab vaqt kā tamāsha to khul hī nahīñ rahā
jis kal meñ jī rahā thā vo kal hī nahīñ rahā
vo jītnā jo chāhe to baazī ko jiit le
lekin jo vasvasoñ se nikal hī nahīñ rahā
chakkar meñ paḌ gayā hai jo dhoke se 'ishq ke
phir us kī uljhanoñ se nikal hī nahīñ rahā
ghaḌiyāñ badal badal ke bhī dekhīñ haiñ sub.h shaam
kaisā ye vaqt hai jo badal hī nahīñ rahā
manzar dikhā.ūñ aur maiñ 'ibrat ke kis qadar
insān hai ki ab bhī sañbhal hī nahīñ rahā
masjid meñ be-dilī se azaañ de rahā hai kaun
shaitān koī ghar se nikal hī nahīñ rahā
dhoke se ek sikka jo khoTā nikal gayā
ab kyā karūñ maiñ is kā ki chal hī nahīñ rahā
baazī Tikī huī hai mirī aglī chaal par
to jaao phir ye chaal maiñ chal hī nahīñ rahā
ab kyoñ dikhā rahe ho ye manzil kā rāsta
'mas’ūd' tere saath maiñ chal hī nahīñ rahā
dushman ke naam ke to din aate hī Dhal ga.e
'mas’ūd' kā zamāna to Dhal hī nahīñ rahā
wo shaKHs mere dil se nikal hi nahin raha
dil hai ki apni zid se pighal hi nahin raha
ab waqt ka tamasha to khul hi nahin raha
jis kal mein ji raha tha wo kal hi nahin raha
wo jitna jo chahe to bazi ko jit le
lekin jo waswason se nikal hi nahin raha
chakkar mein paD gaya hai jo dhoke se 'ishq ke
phir us ki uljhanon se nikal hi nahin raha
ghaDiyan badal badal ke bhi dekhin hain subh sham
kaisa ye waqt hai jo badal hi nahin raha
manzar dikhaun aur main 'ibrat ke kis qadar
insan hai ki ab bhi sanbhal hi nahin raha
masjid mein be-dili se azan de raha hai kaun
shaitan koi ghar se nikal hi nahin raha
dhoke se ek sikka jo khoTa nikal gaya
ab kya karun main is ka ki chal hi nahin raha
bazi Tiki hui hai meri agli chaal par
to jao phir ye chaal main chal hi nahin raha
ab kyon dikha rahe ho ye manzil ka rasta
'mas’ud' tere sath main chal hi nahin raha
dushman ke nam ke to din aate hi Dhal gae
'mas’ud' ka zamana to Dhal hi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.