Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shiddat-e-alam hai dua ko taras gae

Payam Fatehpuri

wo shiddat-e-alam hai dua ko taras gae

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    vo shiddat-e-alam hai duā ko taras ga.e

    sāz-e-shikasta haiñ ki sadā ko taras ga.e

    kab se khilā nahīñ chaman-e-ḳhūn-e-dil na pūchh

    rang-e-hinā-o-dast-e-hinā ko taras ga.e

    apne dam-qadam se thī nashv-o-numā-e-zīst

    zindagī āb-o-havā ko taras ga.e

    har samt hai jahāñ meñ kudūrat bharī huī

    muddat se ahl-e-sidq-o-safā ko taras ga.e

    har adā-e-zīst hamāre dam se thī

    ham zindagī adā ko taras ga.e

    sajtī hai kab vo mahfil-e-yārāñ ki aah ham

    yārān-e-ham-nafas sadā ko taras ga.e

    ai sakinān-e-shahr-e-mohabbat kahāñ ho tum

    bazm-e-ḳhulūs-o-bazm-e-vafā ko taras ga.e

    wo shiddat-e-alam hai dua ko taras gae

    saz-e-shikasta hain ki sada ko taras gae

    kab se khila nahin chaman-e-KHun-e-dil na puchh

    rang-e-hina-o-dast-e-hina ko taras gae

    ya apne dam-qadam se thi nashw-o-numa-e-zist

    ya zindagi ki aab-o-hawa ko taras gae

    har samt hai jahan mein kudurat bhari hui

    muddat se ahl-e-sidq-o-safa ko taras gae

    ya har ada-e-zist hamare hi dam se thi

    ya hum hi zindagi ki ada ko taras gae

    sajti hai kab wo mahfil-e-yaran ki aah hum

    yaran-e-ham-nafas ki sada ko taras gae

    ai sakinan-e-shahr-e-mohabbat kahan ho tum

    bazm-e-KHulus-o-bazm-e-wafa ko taras gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now