wo shoalagi wo soz-e-darun kaun le gaya
vo sho.alagī vo soz-e-darūñ kaun le gayā
mujh se mirī matā-e-junūñ kaun le gayā
hoñToñ pe bād-e-marg tabassum ko dekhiye
ahl-e-junūñ kā hāl-e-zabūñ kaun le gayā
kis ne chaman ujaaḌ diyā tere husn kā
ai dost terā saarā fusūñ kaun le gayā
taarī jahāñ pe zulmat-e-jahl-o-fasād hai
ilm-o-amal se jazb-e-darūñ kaun le gayā
'ġhālib' bhī nahīñ 'mīr' nahīñ 'dāġh' bhī nahīñ
ash.ār-e-nau se sehr-o-fusūñ kaun le gayā
'sāqī' vahī hai mai bhī vahī mai-kada vahī
phir dil se tere josh-e-junūñ kaun le gayā
wo shoalagi wo soz-e-darun kaun le gaya
mujh se meri mata-e-junun kaun le gaya
honTon pe baad-e-marg tabassum ko dekhiye
ahl-e-junun ka haal-e-zabun kaun le gaya
kis ne chaman ujaD diya tere husn ka
ai dost tera sara fusun kaun le gaya
tari jahan pe zulmat-e-jahl-o-fasad hai
ilm-o-amal se jazb-e-darun kaun le gaya
'ghaalib' bhi nahin 'mir' nahin 'dagh' bhi nahin
ashaar-e-nau se sehr-o-fusun kaun le gaya
'saqi' wahi hai mai bhi wahi mai-kada wahi
phir dil se tere josh-e-junun kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.