wo shor hai ki yahan kuchh sunai deta nahin
vo shor hai ki yahāñ kuchh sunā.ī detā nahīñ
talāsh jis kī hai vo kyoñ dikhā.ī detā nahīñ
sulag rahā huuñ maiñ barsāt kī bahāroñ meñ
ye merā zarf ki phir bhī duhā.ī detā nahīñ
yatīm pāltī hai bahn kis mashaqqat se
hai dukh kī baat ki imdād bhaa.ī detā nahīñ
vo dar farār ke mujh par khule to rakhtā hai
vo zulf-qaid se lekin rihā.ī detā nahīñ
zamīndār ne dahqāñ kī pag uchhālī aaj
ki fasl kāTtā to hai baTā.ī detā nahīñ
maiñ apne naam kī us meñ lakīr khīñch na luuñ
vo mere haath meñ dast-e-hinā.ī detā nahīñ
na hotī husn kī tausīf gar use maqsūd
to shāhkār ko itnī safā.ī detā nahīñ
kasak jo dil meñ hai baḳhshī huī usī kī hai
maqām ishq talak jo rasā.ī detā nahīñ
'rashīd' peḌ ke saa.e se sukh kī thī ummīd
ye kyā ki beTā bhī ghar meñ kamā.ī detā nahīñ
wo shor hai ki yahan kuchh sunai deta nahin
talash jis ki hai wo kyon dikhai deta nahin
sulag raha hun main barsat ki bahaaron mein
ye mera zarf ki phir bhi duhai deta nahin
yatim palti hai bahn kis mashaqqat se
hai dukh ki baat ki imdad bhai deta nahin
wo dar farar ke mujh par khule to rakhta hai
wo zulf-qaid se lekin rihai deta nahin
zamindar ne dahqan ki pag uchhaali aaj
ki fasl kaTta to hai baTai deta nahin
main apne nam ki us mein lakir khinch na lun
wo mere hath mein dast-e-hinai deta nahin
na hoti husn ki tausif gar use maqsud
to shahkar ko itni safai deta nahin
kasak jo dil mein hai baKHshi hui usi ki hai
maqam ishq talak jo rasai deta nahin
'rashid' peD ke sae se sukh ki thi ummid
ye kya ki beTa bhi ghar mein kamai deta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.