wo silsila faqat meri yaadon mein rah gaya
vo silsila faqat mirī yādoñ meñ rah gayā
ab us se rabt sirf ḳhayāloñ meñ rah gayā
ḳhushbū nafas meñ ghul ke ragoñ meñ utar ga.ī
chehra kisī tilism sā āñkhoñ meñ rah gayā
ik ruuh lafz lafz ġhazal meñ badal ga.ī
ik jism Tuut Tuut ke bāhoñ meñ rah gayā
ruḳhsat ke vaqt haath to us ne chhuḌā liye
hāthoñ kā lams kuchh mire hāthoñ meñ rah gayā
chehre se ġham ke naqsh to āñkhoñ ne dho diye
ab saarā dard dil kī tanāboñ meñ rah gayā
wo silsila faqat meri yaadon mein rah gaya
ab us se rabt sirf KHayalon mein rah gaya
KHushbu nafas mein ghul ke ragon mein utar gai
chehra kisi tilism sa aankhon mein rah gaya
ek ruh lafz lafz ghazal mein badal gai
ek jism Tut Tut ke bahon mein rah gaya
ruKHsat ke waqt hath to us ne chhuDa liye
hathon ka lams kuchh mere hathon mein rah gaya
chehre se gham ke naqsh to aankhon ne dho diye
ab sara dard dil ki tanabon mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.