wo sitare wo aasman kahan
vo sitāre vo āsmān kahāñ
mujh ko chhoḌā hai darmiyān kahāñ
DhūñDhtā phir rahā huuñ muddat se
miT ga.e sab tire nishān kahāñ
kaise tere binā ġhazal hogī
zindagī terī dāstān kahāñ
bas tirī yaad rah ga.ī dil meñ
tere aane kā ab gumān kahāñ
'umr saarī guzār dī jis meñ
ik qafas thā mirā makān kahāñ
baa'd muddat ke ham mile haiñ tujhe
rābte ab vo darmiyān kahāñ
yuuñ gināte haiñ ye hunar mere
jaise muñh meñ mire zabān kahāñ
vahī sahrā meñ tishnagī hai magar
ab kahāñ tiir vo kamān kahāñ
yaad vo ab kahāñ rahā 'ḳhurram'
chhoḌ aayā tirā jahān kahāñ
wo sitare wo aasman kahan
mujh ko chhoDa hai darmiyan kahan
DhunDhta phir raha hun muddat se
miT gae sab tere nishan kahan
kaise tere bina ghazal hogi
zindagi teri dastan kahan
bas teri yaad rah gai dil mein
tere aane ka ab guman kahan
'umr sari guzar di jis mein
ek qafas tha mera makan kahan
ba'd muddat ke hum mile hain tujhe
rabte ab wo darmiyan kahan
yun ginate hain ye hunar mere
jaise munh mein mere zaban kahan
wahi sahra mein tishnagi hai magar
ab kahan tir wo kaman kahan
yaad wo ab kahan raha 'KHurram'
chhoD aaya tera jahan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.