wo sone chandi na shishe ke ghar mein rahta hai
vo sone chāñdī na shīshe ke ghar meñ rahtā hai
magar hamāre dil-e-mo'tabar meñ rahtā hai
maiñ ik faqīr huuñ aisā dar-e-saḳhāvat kā
amīr-e-shahr bhī mere asar meñ rahtā hai
nazar milāte nahīñ ham se chāñd aur sūraj
kisī kā nuur hamārī nazar meñ rahtā hai
kisī ko Thes bhī lagtī hai chīḳh uThte haiñ
jahāñ kā dard hamāre jigar meñ rahtā hai
hamāre ghar kā hī kirdār koī niklegā
jo āyatoñ ke bhī zer-o-zabar meñ rahtā hai
sarāpā nuur kā paikar hai jo vahī ḳhurshīd
ab intizār-e-tulūa-e-sahar meñ rahtā hai
tumhārī jiit takabbur kā be-yaqīñ paisa
kisī ġharīb ke dast-e-hunar meñ rahtā hai
laboñ pe jis ke zamānoñ kī pyaas hai raqsāñ
ajiib shaḳhs hai paanī ke ghar meñ rahtā hai
sunā hai maiñ ne vahāñ maut bhī nahīñ jaatī
koī ilāqa-e-ḳhairul-bashar meñ rahtā hai
samundaroñ kī jo bastī bahā ke le jaa.e
ki itnā paanī mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
tumhīñ batāo vahāñ phir sukūn kyoñ na mile
hamārā dil dil-e-ka.aba-basar meñ rahtā hai
na jaane kab kahāñ shamshīr ise banānā paḌe
mirā qalam mire raḳht-e-safar meñ rahtā hai
wo sone chandi na shishe ke ghar mein rahta hai
magar hamare dil-e-mo'tabar mein rahta hai
main ek faqir hun aisa dar-e-saKHawat ka
amir-e-shahr bhi mere asar mein rahta hai
nazar milate nahin hum se chand aur suraj
kisi ka nur hamari nazar mein rahta hai
kisi ko Thes bhi lagti hai chiKH uThte hain
jahan ka dard hamare jigar mein rahta hai
hamare ghar ka hi kirdar koi niklega
jo aayaton ke bhi zer-o-zabar mein rahta hai
sarapa nur ka paikar hai jo wahi KHurshid
ab intizar-e-tulua-e-sahar mein rahta hai
tumhaari jit takabbur ka be-yaqin paisa
kisi gharib ke dast-e-hunar mein rahta hai
labon pe jis ke zamanon ki pyas hai raqsan
ajib shaKHs hai pani ke ghar mein rahta hai
suna hai main ne wahan maut bhi nahin jati
koi ilaqa-e-KHairul-bashar mein rahta hai
samundaron ki jo basti baha ke le jae
ki itna pani meri chashm-e-tar mein rahta hai
tumhin batao wahan phir sukun kyon na mile
hamara dil dil-e-kaba-basar mein rahta hai
na jaane kab kahan shamshir ise banana paDe
mera qalam mere raKHt-e-safar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.