wo subh ka nikla hua shab tak nahin aaya
vo sub.h kā niklā huā shab tak nahīñ aaya
kyā baat huī aisī ki ab tak nahīñ aaya
us ne to bichhaḌ ke nahīñ bhejā koī ḳhat bhī
kyoñ us kī ḳhamoshī kā sabab tak nahīñ aaya
ham us ke liye raah meñ muddat se khaḌe haiñ
ik vo hai ki is moḌ pe ab tak nahīñ aaya
vo jām-ba-kaf aa to rahā thā mirī jānib
vo jaam magar mere hī lab tak nahīñ aaya
maiñ ne to qasīde bhī ka.ī likkhe the 'sāqib'
par merā qalam husn-e-talab tak nahīñ aaya
wo subh ka nikla hua shab tak nahin aaya
kya baat hui aisi ki ab tak nahin aaya
us ne to bichhaD ke nahin bheja koi KHat bhi
kyon us ki KHamoshi ka sabab tak nahin aaya
hum us ke liye rah mein muddat se khaDe hain
ek wo hai ki is moD pe ab tak nahin aaya
wo jam-ba-kaf aa to raha tha meri jaanib
wo jam magar mere hi lab tak nahin aaya
main ne to qaside bhi kai likkhe the 'saqib'
par mera qalam husn-e-talab tak nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.