wo sunte hi nahin to hui dastan abas
vo sunte hī nahīñ to huī dāstāñ abas
shikve abas hamāre hamārā bayāñ abas
lete haiñ bekasoñ ke dil-o-dīn-o-jāñ abas
turkān-e-shoḳh lūTte haiñ kārvāñ abas
duniyā meñ jab ḳhudā hī butoñ ko banā chukā
kartā hai aur fikr-e-sitam āsmāñ abas
tasvīr kī tarah haiñ tirī bazm meñ ḳhamosh
goyā huī hai ḳhalq hamārī zabāñ abas
dil mubtalā-e-dard-o-alam thā gayā gayā
lī jaan bhī butoñ ne huā ye ziyāñ abas
yuuñ hī sitam-kashoñ se taġhāful agar rahā
be-sūd hai umīd-e-vafā imtihāñ abas
honī hai ek roz ḳhizāñ is bahār kī
gulshan meñ kyoñ banā.e koī āshiyāñ abas
us ke sivā hai hech mujhe jumla kā.enāt
vo hī na ho nazar meñ to kaun-o-makāñ abas
baaqī hai dil ke jaane kā siine meñ ek daaġh
hotā hai baad zaḳhm ke jaise nishāñ abas
sote haiñ vo kanār-e-adū meñ tamām raat
misl-e-azān-e-sub.h yahāñ hai fuġhāñ abas
us kī vo guftugū vo tabassum kahāñ nasīb
bulbul kī hai zabān to gul kā dahāñ abas
vo bād-e-marg merī ayādat ko aa.e haiñ
nā-mehrbāñ hue bhī agar mehrbāñ abas
āzār-e-tāza ai sitam-ījād mujh ko de
ḳhū ho ke ho gayā hai ġham-e-jāvedāñ abas
anjām-e-shauq-e-vasl-e-butāñ jāntā to hai
rahtā hai be-qarār mirā rāz-dāñ abas
Thokar lagā.eñ ye bhī girāñ nāzukī se hai
rakhtā huuñ un kī rah meñ sar-e-nā-tavāñ abas
wo sunte hi nahin to hui dastan abas
shikwe abas hamare hamara bayan abas
lete hain bekason ke dil-o-din-o-jaan abas
turkan-e-shoKH luTte hain karwan abas
duniya mein jab KHuda hi buton ko bana chuka
karta hai aur fikr-e-sitam aasman abas
taswir ki tarah hain teri bazm mein KHamosh
goya hui hai KHalq hamari zaban abas
dil mubtala-e-dard-o-alam tha gaya gaya
li jaan bhi buton ne hua ye ziyan abas
yun hi sitam-kashon se taghaful agar raha
be-sud hai umid-e-wafa imtihan abas
honi hai ek roz KHizan is bahaar ki
gulshan mein kyon banae koi aashiyan abas
us ke siwa hai hech mujhe jumla kaenat
wo hi na ho nazar mein to kaun-o-makan abas
baqi hai dil ke jaane ka sine mein ek dagh
hota hai baad zaKHm ke jaise nishan abas
sote hain wo kanar-e-adu mein tamam raat
misl-e-azan-e-subh yahan hai fughan abas
us ki wo guftugu wo tabassum kahan nasib
bulbul ki hai zaban to gul ka dahan abas
wo baad-e-marg meri ayaadat ko aae hain
na-mehrban hue bhi agar mehrban abas
aazar-e-taza ai sitam-ijad mujh ko de
KHu ho ke ho gaya hai gham-e-jawedan abas
anjam-e-shauq-e-wasl-e-butan jaanta to hai
rahta hai be-qarar mera raaz-dan abas
Thokar lagaen ye bhi giran nazuki se hai
rakhta hun un ki rah mein sar-e-na-tawan abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.