wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu
vo taaza rang-e-shafaq vo bahār kī ḳhushbū
vo kachchī galiyoñ meñ uḌte ġhubār kī ḳhushbū
vo TuuTī TuuTī sī chaukhaT vo ḳhasta ḳhasta kivāḌ
aur un meñ maazī ke lail-o-nahār kī ḳhushbū
vo gaate gaate se mausam vo dopahar kā sukūt
vo saada bādaloñ meñ sau siñgār kī ḳhushbū
tumhāre phuul se chehre kī jab banī tasvīr
ḳhizāñ ke daur meñ aa.ī bahār kī ḳhushbū
sabā guzartī huī aa.ī mere gaañv se kyā
kahāñ se laa.ī hai bele ke haar kī ḳhushbū
vo pyārī bāteñ laḌakpan kī vo baḌoñ kī hañsī
vo māmtā kī sugand aur pyaar kī ḳhushbū
chamakte shahr meñ yuuñ gaañv yaad aatā hai
ke jaise dasht meñ gesū-e-yār kī ḳhushbū
zamāna ho gayā garche vatan ko chhoḌe hue
maiñ aañkh mūñdūñ to aa.e hai pyaar kī ḳhushbū
vo oltī ke Tapakte hue sharāroñ meñ
hamāre sahn hī ke har siñgār kī ḳhushbū
ye merī ġhazloñ meñ jo rang iztirāb kā hai
isī se niklegī 'anjum' qarār kī ḳhushbū
wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu
wo kachchi galiyon mein uDte ghubar ki KHushbu
wo TuTi TuTi si chaukhaT wo KHasta KHasta kiwaD
aur un mein mazi ke lail-o-nahaar ki KHushbu
wo gate gate se mausam wo dopahar ka sukut
wo sada baadalon mein sau singar ki KHushbu
tumhaare phul se chehre ki jab bani taswir
KHizan ke daur mein aai bahaar ki KHushbu
saba guzarti hui aai mere ganw se kya
kahan se lai hai bele ke haar ki KHushbu
wo pyari baaten laDakpan ki wo baDon ki hansi
wo mamta ki sugand aur pyar ki KHushbu
chamakte shahr mein yun ganw yaad aata hai
ke jaise dasht mein gesu-e-yar ki KHushbu
zamana ho gaya garche watan ko chhoDe hue
main aankh mundun to aae hai pyar ki KHushbu
wo olti ke Tapakte hue shararon mein
hamare sahn hi ke har singar ki KHushbu
ye meri ghazlon mein jo rang iztirab ka hai
isi se niklegi 'anjum' qarar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.