wo tan ka tamashai raha man nahin dekha
vo tan kā tamāshā.ī rahā man nahīñ dekhā
dahlīz pe aayā bhī to āñgan nahīñ dekhā
chehre pe khulī dhuup meñ is darja magan thā
āñkhoñ se barastā huā sāvan nahīñ dekhā
is samt sameTūñ to bikhartā hai udhar se
dukh dete hue yaar ne dāman nahīñ dekhā
darvāze pe aa kar jo kisī ne bhī sadā dī
dil khol diyā dost ki dushman nahīñ dekhā
ik baar hī aayā thā vo ḳhas-ḳhāna-e-dil meñ
phir mere jahāñ-gard ne ye ban nahīñ dekhā
kyoñ merī tamanna kī taraf dekh rahe ho
kyā tum ne kabhī aag pe ḳhirman nahīñ dekhā
lafzoñ meñ chhupī dard kī ḳhushbū nahīñ dekhī
gul dekhne vāloñ ne bhī gulshan nahīñ dekhā
us ne bhī tabassum kā hunar dekh ke 'nayyar'
ālām chhupāne kā mirā fan nahīñ dekhā
wo tan ka tamashai raha man nahin dekha
dahliz pe aaya bhi to aangan nahin dekha
chehre pe khuli dhup mein is darja magan tha
aankhon se barasta hua sawan nahin dekha
is samt sameTun to bikharta hai udhar se
dukh dete hue yar ne daman nahin dekha
darwaze pe aa kar jo kisi ne bhi sada di
dil khol diya dost ki dushman nahin dekha
ek bar hi aaya tha wo KHas-KHana-e-dil mein
phir mere jahan-gard ne ye ban nahin dekha
kyon meri tamanna ki taraf dekh rahe ho
kya tum ne kabhi aag pe KHirman nahin dekha
lafzon mein chhupi dard ki KHushbu nahin dekhi
gul dekhne walon ne bhi gulshan nahin dekha
us ne bhi tabassum ka hunar dekh ke 'nayyar'
aalam chhupane ka mera fan nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.