wo tasawwur mein aate rahe der tak
vo tasavvur meñ aate rahe der tak
ham ġhazal gungunāte rahe der tak
ek hī saath raushan hue the magar
kuchh diye jhilmilāte rahe der tak
jaane kab ke chale bhī ga.e vo magar
rāste jagmagāte rahe der tak
paḌh na leñ shahr ke log chehre kā ġham
is liye muskurāte rahe der tak
chand ahbāb 'tābāñ' jahāñ mil ga.e
apnī apnī sunāte rahe der tak
wo tasawwur mein aate rahe der tak
hum ghazal gungunate rahe der tak
ek hi sath raushan hue the magar
kuchh diye jhilmilate rahe der tak
jaane kab ke chale bhi gae wo magar
raste jagmagate rahe der tak
paDh na len shahr ke log chehre ka gham
is liye muskuraate rahe der tak
chand ahbab 'taban' jahan mil gae
apni apni sunate rahe der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.