wo tawajjoh wo iltifat nahin
vo tavajjoh vo iltifāt nahīñ
ab vo pahlī sī tum meñ baat nahīñ
ham to sau jaañ se haiñ tum pe nisār
ye burā mānñe kī baat nahīñ
tujh se har din hai roz-e-īd mujhe
kaun sī shab shab-e-barāt nahīñ
zindagī kā hai ik nafas ye madār
ziist kī kuchh bhī kā.enāt nahīñ
jis ke jalvoñ se hai jahāñ māmūr
kaun hai gar ḳhudā kī zaat nahīñ
jis meñ TukḌe jigar na hotā ho
koī din koī aisī raat nahīñ
rang-e-hastī hai dam meñ nau-e-digar
bāġh-e-ālam ko kuchh sabāt nahīñ
ḳhauf-e-roz-e-hisāb ne maarā
ham ko to mar ke bhī najāt nahīñ
roz khātā huuñ maiñ ġham-e-jāñ-kāh
kab na.ī mujh pe vārdāt nahīñ
tang ho kar vo DhūñDhtā huuñ maiñ
jis jagah din nahīñ hai raat nahīñ
ārzū-e-ajal hī baaqī hai
ab koī hasrat-e-hayāt nahīñ
kab janāza yahāñ nahīñ uThtā
kaun hai din yahāñ barāt nahīñ
ek do tiin chaar hoñ sah luuñ
ġham hazāroñ haiñ pāñch saat nahīñ
lab-e-shīrīn-e-yār ke aage
vāqa.ī sabr kuchh nabāt nahīñ
wo tawajjoh wo iltifat nahin
ab wo pahli si tum mein baat nahin
hum to sau jaan se hain tum pe nisar
ye bura manne ki baat nahin
tujh se har din hai roz-e-id mujhe
kaun si shab shab-e-baraat nahin
zindagi ka hai ek nafas ye madar
zist ki kuchh bhi kaenat nahin
jis ke jalwon se hai jahan mamur
kaun hai gar KHuda ki zat nahin
jis mein TukDe jigar na hota ho
koi din koi aisi raat nahin
rang-e-hasti hai dam mein nau-e-digar
bagh-e-alam ko kuchh sabaat nahin
KHauf-e-roz-e-hisab ne mara
hum ko to mar ke bhi najat nahin
roz khata hun main gham-e-jaan-kah
kab nai mujh pe wardat nahin
tang ho kar wo DhunDhta hun main
jis jagah din nahin hai raat nahin
aarzu-e-ajal hi baqi hai
ab koi hasrat-e-hayat nahin
kab janaza yahan nahin uThta
kaun hai din yahan baraat nahin
ek do tin chaar hon sah lun
gham hazaron hain panch sat nahin
lab-e-shirin-e-yar ke aage
waqai sabr kuchh nabaat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.