wo tez-rau tha magar ruk ke dekhna us ka
vo tez-rau thā magar ruk ke dekhnā us kā
musāfiroñ pe to uqda na khul sakā us kā
vo nek-dil hai bhalā hai ḳhudā-shanās bhī hai
kise ravā hai ki dil se kare gila us kā
shajar ne paat uThā.e to ham bhī jaag uThe
hameñ thā pesh zamāne meñ faisla us kā
vo mere naam kī tasbīh kyoñ nahīñ kartā
mohabbatoñ meñ ravayya hai aam sā us kā
kisī kisī ko banāte haiñ rāzdār apnā
kisī kisī ko sunāte haiñ marsiya us kā
jamāl-e-yār kā naqsha kahīñ se khiñchtā hai
varā-e-fahm se uThtā hai zāviya us kā
ye lag rahā hai mohabbat kī umr ḳhatm huī
ki hijr phailtā jaatā hai jā-ba-jā us kā
vahī 'adan' jo sitāroñ kī baat kartā thā
ḳhud apnā chāñd to gahnā ke rah gayā us kā
wo tez-rau tha magar ruk ke dekhna us ka
musafiron pe to uqda na khul saka us ka
wo nek-dil hai bhala hai KHuda-shanas bhi hai
kise rawa hai ki dil se kare gila us ka
shajar ne pat uThae to hum bhi jag uThe
hamein tha pesh zamane mein faisla us ka
wo mere nam ki tasbih kyon nahin karta
mohabbaton mein rawayya hai aam sa us ka
kisi kisi ko banate hain raazdar apna
kisi kisi ko sunate hain marsiya us ka
jamal-e-yar ka naqsha kahin se khinchta hai
wara-e-fahm se uThta hai zawiya us ka
ye lag raha hai mohabbat ki umr KHatm hui
ki hijr phailta jata hai ja-ba-ja us ka
wahi 'adan' jo sitaron ki baat karta tha
KHud apna chand to gahna ke rah gaya us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.