wo tishnagi-e-shauq bujhate to baat thi
vo tishnagī-e-shauq bujhāte to baat thī
TuuTe diloñ kī aas bañdhāte to baat thī
chhup kar tabāhiyāñ mirī kyā dekhte haiñ aap
parda ulaT ke sāmne aate to baat thī
pāmāl gar sitam se kiyā bhī to kyā kiyā
lutf-o-karam se mujh ko miTāte to baat thī
gar kī nazar-navāzī to kyā josh-e-husn ko
asrār-e-dil-navāz sikhāte to baat thī
kar ke tabāh mujh ko pashemāñ hue to kyā
kuchh din vo mere naaz uThāte to baat thī
ruḳh se agar naqāb ulaT bhī diyā to kyā
hastī kā merī parda uThāte to baat thī
kyoñ phūñk Daalā aap ne be-vajah tuur ko
barq-e-jamāl dil pe girāte to baat thī
sham-e-umīd kis liye gul kar dī aap ne
gar mash.al-e-hayāt bujhāte to baat thī
badmast kar ke chhoḌ diyā haa.e kyā kiyā
phir se vo mujh ko hosh meñ laate to baat thī
'sāhir' uThā.e haath duā ke liye to kyā
gar haath tum duā se uThāte to baat thī
wo tishnagi-e-shauq bujhate to baat thi
TuTe dilon ki aas bandhate to baat thi
chhup kar tabahiyan meri kya dekhte hain aap
parda ulaT ke samne aate to baat thi
pamal gar sitam se kiya bhi to kya kiya
lutf-o-karam se mujh ko miTate to baat thi
gar ki nazar-nawazi to kya josh-e-husn ko
asrar-e-dil-nawaz sikhate to baat thi
kar ke tabah mujh ko pasheman hue to kya
kuchh din wo mere naz uThate to baat thi
ruKH se agar naqab ulaT bhi diya to kya
hasti ka meri parda uThate to baat thi
kyon phunk Dala aap ne be-wajah tur ko
barq-e-jamal dil pe giraate to baat thi
sham-e-umid kis liye gul kar di aap ne
gar mashal-e-hayat bujhate to baat thi
badmast kar ke chhoD diya hae kya kiya
phir se wo mujh ko hosh mein late to baat thi
'sahir' uThae hath dua ke liye to kya
gar hath tum dua se uThate to baat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.