wo to aaina-numa tha mujhko
vo to ā.īna-numā thā mujh ko
kis liye us se gila thā mujh ko
de gayā umr kī tanhā.ī mujhe
ek mahfil meñ milā thā mujh ko
tā mujhe chhoḌ sako patjhaḌ meñ
is liye phuul kahā thā mujh ko
tum ho markaz merī tahrīroñ kā
tum ne ik ḳhat meñ likhā thā mujh ko
maiñ bhī kartī thī bahāroñ kī talāsh
ek saudā sā huā thā mujh ko
ab pashīmān haiñ duniyā vaale
ḳhud hī maslūb kiyā thā mujh ko
ab dhaḌaktā hai magar sūrat-e-dil
zaḳhm ik tum ne diyā thā mujh ko
wo to aaina-numa tha mujh ko
kis liye us se gila tha mujh ko
de gaya umr ki tanhai mujhe
ek mahfil mein mila tha mujh ko
ta mujhe chhoD sako patjhaD mein
is liye phul kaha tha mujh ko
tum ho markaz meri tahriron ka
tum ne ek KHat mein likha tha mujh ko
main bhi karti thi bahaaron ki talash
ek sauda sa hua tha mujh ko
ab pashiman hain duniya wale
KHud hi maslub kiya tha mujh ko
ab dhaDakta hai magar surat-e-dil
zaKHm ek tum ne diya tha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.