wo to baalin pe bhi aae nahin bulwane se
vo to bālīñ pe bhī aa.e nahīñ bulvāne se
fā.eda kyā dil-e-nādāñ tire ghabrāne se
chāhe ik ghūñT bhī saaqī na de lekin rindo
baat maiḳhāne kī bāhar na ho maiḳhāne se
apnī manzil pe pahuñch jā.eñge Thokar khā ke
raah ka.abe ko bhī jaatī hai sanam-ḳhāne se
ḳhaak kyoñ chhāntā phirtā hai bayābānoñ kī
aap ne ye bhī to pūchhā nahīñ dīvāne se
chand chhīñToñ se kahīñ bujhtī hai dahkī huī aag
aur ghabrāne lagā dil merā bahlāne se
aap ab pursish-e-ahvāl kī ḳhātir aa.e
baat bhī jab nahīñ kī jaatī hai dīvāne se
mai-kashī 'soz' kī fitrat meñ hai dāḳhil vaa.iz
riñd-mashrab hai na baaz aa.egā samjhāne se
wo to baalin pe bhi aae nahin bulwane se
faeda kya dil-e-nadan tere ghabrane se
chahe ek ghunT bhi saqi na de lekin rindo
baat maiKHane ki bahar na ho maiKHane se
apni manzil pe pahunch jaenge Thokar kha ke
rah kabe ko bhi jati hai sanam-KHane se
KHak kyon chhanta phirta hai bayabanon ki
aap ne ye bhi to puchha nahin diwane se
chand chhinTon se kahin bujhti hai dahki hui aag
aur ghabrane laga dil mera bahlane se
aap ab pursish-e-ahwal ki KHatir aae
baat bhi jab nahin ki jati hai diwane se
mai-kashi 'soz' ki fitrat mein hai daKHil waiz
rind-mashrab hai na baz aaega samjhane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.