wo to jab tha jab main KHud se bhi harifana raha
vo to jab thā jab maiñ ḳhud se bhī harīfāna rahā
merī vahshat kā samandar ek paimāna rahā
dil se māñgā hai sukūñ āñkhoñ se māñge ham ne ḳhvāb
aap ḳhud se bhī ta'alluq kuchh gadāyāna rahā
muddatoñ merī hathelī par rahā hai āsmāñ
apne dil se muddatoñ merā bhī yārāna rahā
kuchh mujhe bhī apne qad kā ik ġhalat ehsās thā
kuchh ravayya us kā bhī mujh se ḳhudāyānā rahā
haath se jab tak nikal ke rah gayā har ek naqsh
ḳhushbuoñ hī ke ta'āqub meñ vo dīvāna rahā
wo to jab tha jab main KHud se bhi harifana raha
meri wahshat ka samandar ek paimana raha
dil se manga hai sukun aankhon se mange hum ne KHwab
aap KHud se bhi ta'alluq kuchh gadayana raha
muddaton meri hatheli par raha hai aasman
apne dil se muddaton mera bhi yarana raha
kuchh mujhe bhi apne qad ka ek ghalat ehsas tha
kuchh rawayya us ka bhi mujh se KHudayana raha
hath se jab tak nikal ke rah gaya har ek naqsh
KHushbuon hi ke ta'aqub mein wo diwana raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.