wo to mera apna tha
vo to merā apnā thā
jis ne mujh ko luuTā thā
maut pe merī rotā thā
merā qātil bholā thā
sab jag suunā suunā thā
jab maiñ tujh se bichhḌā thā
dhuñd sī chhā.ī thī har-sū
kal kā sūraj kaisā thā
koī birhan gaatī thī
dard bharā ik naġhma thā
Dartā Dartā sā mujh se
merā apnā saaya thā
maiñ barfānī rātoñ meñ
hijr kī aag meñ jaltā thā
rāh-e-vafā meñ pair na rakh
ik dīvāna kahtā thā
insānoñ ke jañgal meñ
'ārif' bilkul tanhā thā
wo to mera apna tha
jis ne mujh ko luTa tha
maut pe meri rota tha
mera qatil bhola tha
sab jag suna suna tha
jab main tujh se bichhDa tha
dhund si chhai thi har-su
kal ka suraj kaisa tha
koi birhan gati thi
dard bhara ek naghma tha
Darta Darta sa mujh se
mera apna saya tha
main barfani raaton mein
hijr ki aag mein jalta tha
rah-e-wafa mein pair na rakh
ek diwana kahta tha
insanon ke jangal mein
'arif' bilkul tanha tha
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 121)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.